Thursday, July 22, 2010

Jeevan

Aandhi,Toofano,Chattano,Himkhandon,
Kannto ka naam safar hai.
Phoolon ki nav pankhudiyon se,
saji yahan per kaun si dagar hai?


Dharti per har mausam ka hi,
Naam madhumas nahi hota hai,
Aise patjhad yahan ki jinme,
Murjhaya gumsum jeevan hai.


Sukh ki sej nahi hai jeevan,
Chadar per silvaten hajaron.
Garm havaon ke saay hain,
Angaaron me kaid dekho aaj chaman hai.

Wednesday, July 21, 2010

Naari se...

Nyay se aabadh ho,
Anyay ko sahna nahi,
Swadheenta se tum jiyo,
aabadhmay rahna nahi,
Yeh yug bada sangharshmay,
mat ho vyatith karunamai.
Sangharsh kar vijai bano,
tum mrateu se darna nahi.
Nyay se pratibadh ho,
Anyay ko.....

Ghanghor kali raat ho,
Koi na tere saath ho,,
Tum bhed do tam shakti se,
Aiisa adig vishvas ho,
Path se vichalit ho kabhi,
Badhte kadam thithke nahi,
Anyay ko raund do,
Kinchit daya karna nahi,
Aabadhmay rahna nahi,
Anyay ko .........

Dushton ke annuchit bhav se,
Mayus tum hona nahi,
Vidroh roopi jwal ban,
Khud aag me jalna nahi,
Yeh zindgi anmol hai,
Ro-ro ke tum khona nahi,
Aabadhmay rahna nahin,
Anyay ko.......


Moh,,mamta,daya,lajja,
Y tere shrangar hain,
Mat bhoolvash abla bano,
Tum shristi ka adhar ho,
Anavarat bahti dhar ho,
Chir shakti ki jhankar ho,
Talvaar jaise dhaar ban,
Lachar ban jeena nahi,
Aabadhmay rahna nahi,
Anyay ko sahna nahi.....

Tuesday, July 20, 2010

My College Farewell and My Feelings...2008

Chal hum juda ho jate hain,door kahin kho jate hain,
Chal apne-apne khvabon me,hum sab so jate hain,
Tujhko bhi hai ye khabar,humko bhi hai maloom,
Bheed me is Duniya ki,ho jainge gum Hum-Tum.
Chal karte hain Taiyari, aur hum sub door jate hain,
Chal hum juda ho jate hain,......

Afsos ki hum tanha honge ek doosre ke bin,
Kai khwab sajane vale yaad aaienge y din,
Chal in yadon ko dafnane,saaman uthate hain,
Chal hum juda ho jate hain,.......

Ek josh naya hoga,ek chahat nai hogi,
Manjl mil jaiegi shayad, y umeed kahin hogi,
Chal Manjil tak jane ko, saaman uthate hain,
Chal hum juda ho jate hain,.......

Y sach hai ki...tujhe bhula na painge,
Ek bus teri khushi ki khatir, dua me haath utainge,
Chal mangte hain khushiyan, aur milke haath uthate hain,
Chal hum juda ho jate hain,........

Hum sab rahenge tanha -tanha, yun sab se door jake,
Hum bhula na paenge, chahke bhi bhulake,
Per kar lete hain vade,aur sab kuch bhool jate hain,
Chal hum juda ho jate hain,.door kahin kho jate hain.

Monday, July 19, 2010

Sangharsh

Aaj fir se doobte hue sooraj ko dekha aur doosri taraf se chandrama nikal raha tha. Shayad astachalgami sooraj per chandrama has raha tha ya vyangya kar raha tha...ki lo tumhare samrajya ne mujhe pratahkaal paddalit kiya tha.......kintu mai tumhare samrajya patan per fir uth khada hua aur apni sheetalta se sabhi ko shanti pradan karne aa gaya.


Es per sooraj ne apni chirparichit gambheerta ka parichay dete hue shant bhav se kaha, "He mitra, es chanik,nashvar aaur ashasvat sondarya per garv mat karo.yadyapi mera ant ho raha hai....aur main apni yatra poorn kar chuka hun..per isme mujhe dukh na hokar prasanta hi hai kunki mai apne jeevan ka prapya prapt kar chuka hun...mera avsaan bhi hua hai per apne jeevan ke sarvosch shikhar ko prapt karke.Mai jab udit hua to bhi mere pass ek pran tha ki mujhe Manavmatra ka kalyan karna hai, bina kisi bhedbhav ke sabhi ko apni swarnim kiran rashmiyon ki jeevantta pradan karni hai...isi udesya ki poorti hetu maine sare din apni mangl yatra poori ki aur aab astachal (jise tum meri parajay man kar prasann ho raahe ho) me jaate hue main es baat ke liy sankalpvaan hun ki pratah kal fir se mujhe sabhi ka kalyan karne ke liy upasthit hona hai. Mera yeh kram Abadh aur Shasvat hai......manav jagat ke liy prernadai hai .Mai sabhi me sfoorti ka sancharkarke unhe har paristhiti me SAMBHAVI bane rahne ki prerna deta hun. Jahan tak mere samrajya ki baat hai.....to mera samrajya svayam samapt hokar bhi doosre ko nirantar aage badhne ki PRERNA deta hai. Jis Shanti ki tum baat kar rahe ho vah mithya hai. Sangharsh hi jeevan ka satya hai. JEEVAN SANGHARSH KA NAAM HAI es baat ki seekh deta hun..Isliy mera janm shresth hai ...svayam nast hokar bhi tumhe samrajya pradan kar raha hun isliy meri mratyu bhi prernadai hai...."


Shayad es baat me poore jeevan ka ras hai,kai prashno ka uttar hai...man ko jo bahut dino se pareshan kar raha tha.....aaj uska uttar mil gaya..