Monday, July 19, 2010

Sangharsh

Aaj fir se doobte hue sooraj ko dekha aur doosri taraf se chandrama nikal raha tha. Shayad astachalgami sooraj per chandrama has raha tha ya vyangya kar raha tha...ki lo tumhare samrajya ne mujhe pratahkaal paddalit kiya tha.......kintu mai tumhare samrajya patan per fir uth khada hua aur apni sheetalta se sabhi ko shanti pradan karne aa gaya.


Es per sooraj ne apni chirparichit gambheerta ka parichay dete hue shant bhav se kaha, "He mitra, es chanik,nashvar aaur ashasvat sondarya per garv mat karo.yadyapi mera ant ho raha hai....aur main apni yatra poorn kar chuka hun..per isme mujhe dukh na hokar prasanta hi hai kunki mai apne jeevan ka prapya prapt kar chuka hun...mera avsaan bhi hua hai per apne jeevan ke sarvosch shikhar ko prapt karke.Mai jab udit hua to bhi mere pass ek pran tha ki mujhe Manavmatra ka kalyan karna hai, bina kisi bhedbhav ke sabhi ko apni swarnim kiran rashmiyon ki jeevantta pradan karni hai...isi udesya ki poorti hetu maine sare din apni mangl yatra poori ki aur aab astachal (jise tum meri parajay man kar prasann ho raahe ho) me jaate hue main es baat ke liy sankalpvaan hun ki pratah kal fir se mujhe sabhi ka kalyan karne ke liy upasthit hona hai. Mera yeh kram Abadh aur Shasvat hai......manav jagat ke liy prernadai hai .Mai sabhi me sfoorti ka sancharkarke unhe har paristhiti me SAMBHAVI bane rahne ki prerna deta hun. Jahan tak mere samrajya ki baat hai.....to mera samrajya svayam samapt hokar bhi doosre ko nirantar aage badhne ki PRERNA deta hai. Jis Shanti ki tum baat kar rahe ho vah mithya hai. Sangharsh hi jeevan ka satya hai. JEEVAN SANGHARSH KA NAAM HAI es baat ki seekh deta hun..Isliy mera janm shresth hai ...svayam nast hokar bhi tumhe samrajya pradan kar raha hun isliy meri mratyu bhi prernadai hai...."


Shayad es baat me poore jeevan ka ras hai,kai prashno ka uttar hai...man ko jo bahut dino se pareshan kar raha tha.....aaj uska uttar mil gaya..

No comments:

Post a Comment